2 thoughts on “FLOOD DEVASTATION IN SINDH”

  1. AOA abuzar bhi ap nay jo b kaha 100% drust kaha ha as a muslim this is our duty to care our other musim agr un par koi mosibat aa jay tu un k sath dia jay ye ham sab k aklali faraz ha.ALLAH SAY dua ha sindh ur punjab k sallab say matasra logon ki hafazat farmay (ameen)

  2. Kia kalabag dam bana hota to flood(selab) aur tabahi nahee hoti ?

    Aaj kal media men ye sawal bhut se logoon ki zaban per hae , aur hamare panjab ke governor janab salaman taseer sahib jo aksur jalti per tel ka kirdar ada kerte haen unhon ne bhi ye farmaya he k “Kia kalabag dam bana hota to flood(selab) aur tabahi nahee hoti”
    Pahle bat to ye hae k agar kala bag dam ka ziker kerne k baje governor sahib ager ye fermate k aghar Bhash Dam bana huwa hota to etna nuqsan nahee hota to bat kuch samajeh men aati , liken kia Karen Panjab waloon k mutabiq her kharabi ka hal kala bag dam he.
    Men aap ko ye batata chaloon k pani zakhera kerne aur power (bijli) peda kerne wale dam ( water & hyderopower reservoirs) men flood (selab) ka pani zakhera kerna k capacity bhut thori hot he kion k hamare hyderpower dams/ reservoirs selab(flood) aane se pahlae he bhur deye jate hen, jub k selab (super flood) baed men aata he… jis ka best example es sal (this year) k halat (situation) hamare samene hae… jab pani ka rela / selab /super flood tarbela tak punhecha to Tarbela men pani ki level pahle he 1525 ft thi.jis k nateje men tarbel aur power house ko bachane k liye sirf(only) 2 or 3 ft wterlevel barahe gaee, aur first 1 august ko only 26000 cusecs pani ka zakhera ho saka out of 46000 cusec jis ke wajeh se flood ka pani rokene ya zakeera kerne ka koi khas farq nahee para.. es liya bara , bare dam selab se bacho/flood ki shidet ko rokene men madadgar / maawen sabet nahe hote…..

    Kia kalabag dam bana hota to nowshera aur khyber pakhtoonkwa dobeni se bach jata aur tabahi nahee hoti ?

    Aaj kal kuch siastatdan apni siyasi dookandari chamkane ke liye es tareh k bayan dete hen k agar
    kalabag dam bana hota to nowshera aur khyber pakhtoonkwa dobeni se bach jata aur tabahi nahee hoti wagerah wagerah…
    es silsile men kuch ghos guzar kerna chaheta hoon k es sal Kabul river men high flood aur high rainfall k wajeh se nowshera men selab aaya… for example agar kalabag dam bana hota to es ke level 915 ft hoti es ka ulta nateja/ adverse effect ye hota k wo nowshera city ke selab/ flood ke pani ko dispose/ nekal kerne se na rooketa aur es se bhi ziyadeh tabahi hoti aur nuqsan hota.
    Kalabag dam koi Amer dhara nahe he jis se aap her bemari ka elag(treatment) Karen..

    Jis kalabag Dam k ooper country/ mulk men itefaq-e-rae nahee he to us dam ko banana k liye bar bar Punjab zid kion ker raha he.. Khudara es mulk aur es k awam per raham karen..sirf aik province Punjab ko khush kerne k liya teen (3) chote provinces se zulum aur mazaq band Karen…
    Kalema-e- Haq kehna Afzal jihad he..
    Allah subhanaho wa tatala hum sub ko Kalema-e- Haq
    Kehne ki tofeeq ata farmae.(Ameen) aur doseron k hoqooq ka khial rakhene ki toofeeq farmae.(Ameen).
    Sindh, Baluchistan aur pakhtoonkhwa ke awam bhi musliman hen un ki Huqooq ka khial rakhena Punjab ki ikhlaqi, qoomi aur religious zamewari(responsibility) hae.
    Agur aap ko flood/ selab k pani ko zakhera kerna aur selab se bacho ki tadbeeran (Precaution measures) kerne hen to pore mulk(country) men small/chote..chote Dam Banaen..jo barish(Rainfall) aur selab (flood) k pani ko zakhera kerne men helpful honge…

    With regards,
    Well-wisher of this motherland
    Abuzar-jan

By using this service you agree not to post material that is obscene, harassing, defamatory, or otherwise objectionable. Although IAOJ does not monitor comments posted to this site (and has no obligation to), it reserves the right to delete, edit, or move any material that it deems to be in violation of this rule.